free download and watch online hollywood movies, indian movies, indian tv serials, play online games, video songs, entertainment gossip videos and much much more...
Wo dana-e-subul, khatam-ur-rasul, maula-e-kul jis ney
Ghubar-e-rah ko bakhsha farogh-e-wadi-e-seena
Nigah-e-ishq-o-masti main wohi awwal wohi aakhir
Wohi Quran, wohi Furqan, wohi Yasin, wohi Taha
(Referring to Prophet Muhammad (Peace Be Upon Him))
*. Teri nigah main sabit nahin Khuda ka wajood?
Meri nigah main sabit nahin wajood tera
Wajood kya hai? faqat johar-e-khudi ki namu
Kay apni fiker ker, johar hai baynamud tera
*. Zairan-e-Kaba say Iqbal, ye poochey koi
Kya Haram ka tohfa zam zam kay siwa kuch bhi nahin?
*. Gulzar-e-hast-o-bood na baigana waar dekh
Hai dekhney ki cheez, issey bar bar dekh
Aya hai tu jahan main misl-e-shola zaar dekh
Dam dey na jayye hasti-e-napaydar dekh
Mana kay teri deed kay qabil nahin hon main
Tu mera shok dekh, mera intizaar dekh
Kholi hain zoq-e-deed nay aankhain teri agar
Her rehguzar main naqsh-e-kaf-e-paay-e-yaar dekh
*. Iss chaman main murgh-e-dil gayey na azadi kay geet
Aah! ye gulshan nahin aisey taraney kay liyey
*. Terey ishq ki inteha chahta hon
Meri saadgi dekh, kya chahta hon
Bhari mehfil main raaz ki baat keh di
Bara bayadab hon, saza chahta hon
*. Ye Hind kay firqa saaz Iqbal aazri ker rahey hain goya
Bacha kay daamin buton say apna ghubar-e-rah-e-Hijaz ho ja
*. Parwaney ko chiragh hai, bulbul ko phool bas
Siddique kay liyey hai Khuda ka Rasool (PBUH) bas
*. Aag hai, aulad-e-Ibraheem (PBUH) hai, namrud hai
Kya Kisi ko phir kisi ka imtihan maqsood hai?
*. Khatar pasand tabiat ko saazgaar nahin
Wo gulistan kay jahan ghaat main na ho sayyad
Muqam-e-shok terey qudsiyon kay bas ka nahin
Unheen ka kaam hai ye jin kay hosley hain Zayyad
*. Jalal-e-paadshahi ho, ya jamhoori tamasha ho
Juda ho deen syasat say, tou reh jaati hai chengezi
*. Issi Quran main hai ab tark-e-jahan ki taleem
Jis nay momin ko banaya may-o-perween ka amin
Tan ba taqdeer hai aaj un kay amal ka andaz
Thi nihan jin kay iradon main Khuda ki taqdeer
*. Hai mamlakat-e-Hind main yek terfa tamasha
Islam hai mehboos, Mullah hai azaad
*. Wajud-e-zan say hai tasweer-e-kaynat main rang
Issi kay saaz say hai zindagi ka soz-e-darun
Sharf main berh kay surrayya say masht-e-khaak iss ki
Kay her sharf hai ussi darj ka dur-e-maknu
*. Mashriq say ho bayzaar, na maghrib say hazar ker
Fitrat ka ishara hai kay her shab ko seher ker
*. Na Asia main, na Europe main soz-o-saz-e-hayaat
Khudi ki mout hai ye, aur wo zameer ki mout
Dilon main walwala-e-inqilaab hai paida
Qareeb aa gayi shayad jahan-e-peer ki mout
*. Main kar-e-jahan say nahin aagah hon lekin
Arbab-e-nazar say nahin poshida koi raaz
Ker tu bhi hakoomat kay waziron ki khushamad
dastoor naya aur nayey dour ka aaghaz
*. Teri hareef hai ya Rabb! syasat-e-afrang
Magar hain iss kay pujari faqat ameer-o-raees
Banaya aik hi Iblees aag say TU nay
banayey khaak say iss nay dou sa’d hazar iblees
*. Tera pesha hai saffaki, mera pesha hai saffaki
Kay hum kazzak hain dono, tu maidani, main daryai
*. Teri dua say qaza tou badal nahin sakti
Magar hai iss say ye mumkin kay tu badal jayey
Teri dua hai kay ho teri aarzu poori
Meri dua hai teri aarzu badal jayye
*. Aaj wo Kashmir hai mehkoom-o-majboor-o-faqeer
Kal jissey ahle-e-nazar kehtey thay Iran-e-sagheer
*. Mumkin hai kay tu jis ko samjhta hai baharan
Auron ki nigahon main wo mosam ho khizan ka
Shayad kay zameen hai ye kissi aur jahan ki
Tu jisko samajhta hai falak apney jahan ka
*. Mutmain hai tu, pareshan misl-e-bu rehta hon main
Zakhmi-e-shamsheer zoq-e-justuju rehta hon main
*. Iqbal bhi Iqbal say aagah nahin hai
Kuch iss main tamaskhar nahin, Wallah nahin hai
Labels: Madina