Thursday, November 12, 2009

GOLDEN WORDS: Don’t ignore to read them

(1/1)

khawrichan:
Insan ka apne Dushman se inteqam ka sab say acha tariqa ye he ki wo apni
khubiyon me izafa kare 'Hazrat Ali (R.A)
------------ -
1-Wo gunah jis ka tumhein ranj ho,
Allah ke nazdeeq us nayki se behtar hai
jis se tum main ghuroor paida ho jaye".
(Hazrat ALI R.A)
-----------
2-Kisi ne Hazrat ALI R.A se poocha:
"Dost aur bhai main kya farq hai?"
Aap ne farmaya:
"Bhai sona hai aur dost heera hai."
Us aadmi ne kaha:
"Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti cheez se kyun tashbeeh di?"
To aap ne farmaya:
"Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar bilkul pehlay jaisa
banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar aa jai to wo kabhi bhi
pehlay jaisa nahi ban sakta.'
-----------
3-Ager kisi ka zaraf azmana ho to usko ziada izzat do
Wo ala zaraf hua to aap ko or izzat day ga
aur kam zaraf hoa to khud ko AALA ZARAF sumjhey ga
( Hazrat ALI R.A )
-----------
4-Hazrat ALI R.A Ka Frman Hy:-
"Bura Dost Aag Ki Manind Hy"
"Agar Jalta Hoga To Apko Jala Dega"
"Aur Agar Bujha Hoga To Aap Ke Hath Kale Kar Dega"
-----------
5-Aazmaye Hue Ko Azmana Bewakufi Hai.
( Hazrat ALI R.A )
------------ ---

6-Logon Ki Zaroraton Ka Tum Se Wabasta Hona Tum Per ALLAH Ki Enyat Hai.
(Imam Hussain R.A)
------------ --------- -

7-Hazrat ALI R.A Says
Apne Dushman Ko 1000 Dafa Mauqa Do Ke Wo Tumhara Dost Ban Jaaye
Per Apne Dost Ko 1 Bhi Mauqa Na Do Ke Wo Tumhara Dushman Banay
-----------
8-sab se bara gunah wo hai jo karne walay ki nazar me chota ho
( Hazrat ALI R.A )
-----------

9-Ghareeb wo hai jis ka koi dost na ho.
[HAZRAT ALI (R.A)
-----------

10-Jub meri DUA kabol ho tu mein khush hota houn ke is main meri marzi hai aur
Jub kabol na ho tu mein aur khus hota houn ke ye ALLAh ki marzi hai
( Hazrat ALI R.A )
-----------

11-IKHTIYAR, TAAQAT aur DOULAT
aisi cheezain hain jin ke milnay say log badaltay nahin BAYNAQAB hotay hain

( Hazrat ALI R.A )
----------

12-Agar tum kisi ko chota dekh rahe ho, to tum use door se dekh rahe ho,
Ya phir gharoor se dekh rahe ho
( Hazrat ALI R..A )
-----------

13-Allah ke nazdek sab say ziada gunehgar chez jhoot bolnay wali zuban hai.
(Hazrat Ali R.A)
------------

14-GHULAB KA PHOL BANO! KYUN KE YEH PHOL US KE HATH ME BHI
KHUSHBO CHOR DAITA HAI JO ISEY MASAL KAR PHAINK DAITA HAI.

("HAZRAT ALI R.A")
------------ --------- ---

15-Mujhe Jannat se ziada Masjid mein bethna Acha Lagta hai
kyunke Jannat mein mera NAFS khush ho ga
jab ke Masjid mein mera RAB khush ho ga.
(Hazrat ALI R.A)
-----------

16-Main Jannat Ke Shouq Main ebadat Nahe Kerta,
Ki Ye Ebadat Nahe Tijarat Hay
Main Dozakh Ke Khoof Say Ebadat Nahe Kerta,
Ki ye Ebadat Nahe..Ghulami Hai...
Main Ebadat Sirf Is Liye Kerta hon...
Ki Mera RuB ebadat Ke LayeQ Hai.......

( Hazrat ALI R.A )
-----------

17- Aik Shakhs Ne Hazrat ALI R.A Sey Poocha,
Q: Qarib Kya Hai?
A: Qayamat
Q: Or Qareeb Ter?
A: Maut
Q: Ajeeb Kya HAi?
A: Duniya
Q: Aur Ajeeb Tar?
A: Talib-e-Duniya
Q: Wajib Kya Hai?
A; Toba
Q: Or Wajib Tar?
A: Gunah Ke Forun Bad Tauba
Q: Mushkil Kya Hai?
A: Qaber Mein Utarna
Q: Or Mushkil Tar?
A: Amal Ke Bagair Utrna
-----------

18-Apni zuban ki tezi us per mat azmao jis ne tumhen bolna sekhaya
( Hazrat ALI R.A )
-----------

19-"Sub se Ziyada Kamzor AADMI woh hai Jo DOST ko HAASIL karne me Naakaam ho,

Aur us se bhi Ziyada Kamzor Wo he Jo Haath aai howe DOST ko ganwa de

"( Hazrat ALI R.A )�
-----------

20- "2 cheezein saari zindagi kaam ayengi,
1 = Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo!
2 = Khushi ki haalat mein koi wada mat kro!
( Hazrat ALI R.A )
----------

21-Insaan Bhi kitna Ajeeb Hai,
Jab kisi Cheez se Darta Hai to Us se Dour Bhagta Hai.
Jab ALLAH Say Darta Hay to Us ke Aur Qareeb Ho Jata Hai.
(Hazrat ALI R..A )
-----------

22-Duniya Daron ki Sohbat ikhtyar Na karo Q K Agar tu Tang-dast huwa to ye tujhe Chorh Denge

Aur agar to Dolat-mand huwa to Tujh se Hasad karen gay.

( Hazrat ALI R.A )
-----------

23- Acha Dost Kitni Dafa Hi Kiyon Na Ruth Jaye Usay Mana Lena Chahiye!
Kiyon Ki Tasbi Ke Daney Kitni Dafa Hi Kiyon Na Bikhrein Chun Liye Jate Hain!

( Hazrat ALI a.s )
-----------

24- "Yeh na socho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta,
yeh shukar karo k ALLAH hamaray gunaahon ki saza foran nahi deta..."
( Hazrat ALI R.A )
-----------

25-4 Batain Elim Ka NIchour Hain,
1.) ALlah Ki Itni Ebadat Karo Jitni Tumhain ALLAH Ki Zaroret Hay.
2.) ALlah Ki Nafermani Itni Karo Jitna Allah Ke Azaab Per Saber Ker Saktey Ho..
3.) Dunya Ke Liye Itna Amal KAro Jitna Ke Tumhain Dunya Mian Rehna Hai,,
4.) Aakhrat Ke Liye Itna AMal Karo Jitna Ke Tumhain Wahan Rehna Hain....!!!
( Hazrat ALI R..A )
------------ --------

26-Buraee main kisi ka sath dena Ghatiyapan aur khuda kay sath badiyanti hay.( Hazrat ALI R.A )
------------

27-kisi ki madad kartay waqt us ke chehray ki janib mat dekho,

ho sakta hay us ki sharminda ankhain tumharay dil main gharur ka beej bo dain.
( Hazrat ALI R.A )
------------

28-"Golden Words"
"Her INSAN ki izzat aur uss say mohabat karo,Kion ki her INSAN k ander
KHUDA ki koi na koi sift zaror mojood hoti hai"
( Hazrat ALI R.A )
------------

29-"Ebadat esi karo jis se tumhari ROH ko maza aey

Q k jo Ebadat dunya mai maza na de wo Akhrat mai kia jAZAH degi"... .( Hazrat ALI R.A )
-----------

30-Barish ka Qatra Seep aur Saanp dono ke Munh mein Girta hai
Lekin SEEP usay MOTI Aur Saanp usay Zehar bana deta hai
jis ka jesa Zarf wesi uski Takhliq
( Hazrat ALI R.A )
------------
31-Tum acha karo aur zamana tum ko bura samjhe
ye tumaray haq main behtar he
Bajaye es k tum bura karo aur
zamana tum ko acha samjhe
( Hazrat ALI R.A )
------------
32-Jahan Sadaaqat Or Khuloos Nazar Aaye Wahaan Dosti Ka Hath Barhao

Warna Tumhari TANHAEE Tumhari Behtreen Saathi Hai.
( Hazrat ALI R.A)
------------
33-Bay shak dunya or akhrat ki missal asay ha jasay

1 shaks ki 2 biwiyan hon 1 ko razi karta ha to dosri roth jati ha
HAZRAT ALI(R.A)
------------ --------- ---
34-naikon ki suhbat ikhtiar karo nek ban jao gai,

buron ki suhbat se parhaiz karo, badi se dor ho jao gai.
(Hazrat Ali R.A)
------------
35-"3 kaam kisi ke dil main aap ki izzat barhatay hain:
1- Salam karna.
2- Kisi ko jagah dena.
3- ASAL NAM SE PUKARNA."
(HAZRAT ALI R.A)
------------
36-Achi zindagi guzar nay ke 2 tareeky hain.
¤ Jo pasand hain usay hasil kr lo
ya Phr
¤ Jo hasil hain usay pasand kr lo.
(HAZRAT ALI R.A)
------------
37-3 Insan 3 chezon se mehroom rahenge
1.Ghusay wala Durust faisly se
2.Jhoota Izzat se
3.Jald baaz Kamyabi se.
(Hazrat Ali R.A)
------------
38-Agr Tm Usy Na Pa Sako Jise Tum Chahte Ho,Tu Usay Zaror Pa Lena Jo
Tumhe Chahta Hy
QK Chahne Se, Chahe Jane Ka Ehsas Ziada Khubsurat Hota Hy.
HAZRAT ALI (R.A)

0 Comments:

Post a Comment